Hijama in Lahore

Hijama Center In Lahore







Hijama aik qadeem tareeqa ilaaj aur sunnat nabwi S.A.W.W bhi hai. Taqreeban daidh hazaar saal qabal maseeh mein medical science ki pehli kitaab likhi gayi, jo qadeem Misri zabaan aur ashkaal mein tehreer ki gayi thi aur heran kin tor par iss mein uss daur ke murawaja tarika ilaaj aur surgeries ke ilawa hijama karne ka tarika aur is ke fawaid darj hain.

Issi terhan qadeem cheeni tahazeeb mein bhi hijama ka zikar mojood hai. yeh tareeqa kar hazaron saloon se mukhtalif mumalik jaisay America, Germany, France, South Korea, Canada, China, Dubai, Kuwait aur Saudi Arab mein raaij hai aur un mumalik ke log is qadeem tareeqa ilaaj se bhar poor faida haasil kar rahay hain. Jadeed medical science bhi ab taizi ke sath hijama ki taraf mutwajjah ho rahi hai.

Jadeed technology, research laboratories ki wajah se cupping therapy ki ifadiyat aur ahmiyat logon ke samnay aayi hai jiski wajah se woh jadeed ilaaj karwanay ki bajaye qadeem tareeqa ilaaj ko foqiat day rahay hain. Jabkay aaj kal hamaray malik mein bhi is ko barri ahmiyat haasil hai aur shehar shehar aisay cilinic khole ja rahay hain jahan par hijama karwaya ja sakta hai.

Hijama kya hai?
Jaisa ki aap jante hain ki hijama qadeem tarika ilaj aur rasool Allah S.A.W.W ki sunnat bhi hai. Iss tareeqa ilaaj mein jism se ganda aur fasid khoon nikala jata hai, fasid khoon insani sehat par buray asraat muratab karta hai aur pchid_h bimarion ka baais bantaa hai.

Hajima nah sirf kam kharch tareeqa ilaaj hai balkay nihayat mehfooz aur fori nataij ka bhi haamil hai. Khaas tor par aisi bemariyan jo mehangay tareen ilaaj karwanay se bhi khatam nahi hoten woh is tareeqa ilaaj se kuch hi arsa mein aisay khatam hoti hain jaisay kabhi theen hi nahi.

Hijama mukhtalif pchidha aur jaan lewa amraz maslan blood pressure, depression, pathon, kamar, hadion aur joron ke dard, sugar (Diabetes), yarqaan (Hepatitis), asthma, dard shaqeeqa, constipation, bawaseer, faalij, mirgi, cancer, motapay, heart attack, jald amraaz, acne, gurday ki pathri aur soojan, mardana aur zanana posheeda amraaz, ghatiya aur erq-e-nesa waghera ke sath sath deegar Rohani o jismani bimarion mein Shifa hai.

Hijama ki aqsam

Hijama 3 tarah se kiya ja sakta hai.

Tar hijama (wet cupping):- Iss tarika mein jism ke kisi khaas hissa par cut (incisions) laga kar fasid khoon nikala jata hai. Agar khoon mein fasid maday ki miqdaar ziyada ho to is tareeqa car ko ahmiyat di jati hai.

Khushk hijama (dry cupping):- Iss tarika mein jism par sirf cupp lagaye jate hain. Khoon mein agar fasid maday ki miqdaar kam ho to is tareeqa car ko ikhtiyar karna chahiye.

Hijama massage (cupping massage):- Yeh tarika aik khas qisam ka massage hai aur khushk hijama ki terhan ka hota hai. Iss tarika mein jism mein is maqam par jahan massage ki zaroorat hoti hai khaas qisam ka tail laga kar phela diya jata hai aur phir cupp laga kar massage kya jata hai. Iss tarika mein agar hathon se massage kya jaye to sirf daidh inch tak is ka assar parta hai jabkay cupp laganay se assar 3 se 4 inch geherai tak hota hai.


3000 Rs whole price only first visit, second visit hijama is 2000 Rs only and so on in which 12 to 15 cups will be used. Pak-China hospital Johar town near shadiwal chowk Lahore our hospital open whole week . An appointment is necessary before coming you can tell me here so I book your appointment.

For More Information:
𝐂𝐚𝐥𝐥: +923158608332
𝗪𝗵𝗮𝘁𝘀𝗔𝗽𝗽: https://wa.me/923158608332

Comments

Popular posts from this blog

Oophoritis Treatment In Lahore

Female Urethritis Treatment

Hijama Clinic