Hijama Center In Lahore Hijama aik qadeem tareeqa ilaaj aur sunnat nabwi S.A.W.W bhi hai. Taqreeban daidh hazaar saal qabal maseeh mein medical science ki pehli kitaab likhi gayi, jo qadeem Misri zabaan aur ashkaal mein tehreer ki gayi thi aur heran kin tor par iss mein uss daur ke murawaja tarika ilaaj aur surgeries ke ilawa hijama karne ka tarika aur is ke fawaid darj hain. Issi terhan qadeem cheeni tahazeeb mein bhi hijama ka zikar mojood hai. yeh tareeqa kar hazaron saloon se mukhtalif mumalik jaisay America, Germany, France, South Korea, Canada, China, Dubai, Kuwait aur Saudi Arab mein raaij hai aur un mumalik ke log is qadeem tareeqa ilaaj se bhar poor faida haasil kar rahay hain. Jadeed medical science bhi ab taizi ke sath hijama ki taraf mutwajjah ho rahi hai. Jadeed technology, research laboratories ki wajah se cupping therapy ki ifadiyat aur ahmiyat logon ke samnay aayi hai jiski wajah se woh jadeed ilaaj karwanay ki bajaye qadeem tareeqa ilaaj ko foqiat day rahay hain. Jabka